ek se rabt ek se hai bigaD
ek se rabt ek se hai bigāḌ
roz hai vaañ yahī ukhāḌ-pachhāḌ
ab vo dil meñ kabhī nahīñ aate
muddatoñ se ye ghar paḌā hai ujaaḌ
kyuuñ hai bekār mausam-e-gul meñ
jeb kar chaak aur garebāñ phaaḌ
kār-e-āshiq jo ho nigah meñ durust
kahiye kyā aap kā hai is meñ bigāḌ
kahte ho ġhair jaa.e to aa.uuñ
ḳhuub rakkhī hai aap ne ye aaḌ
sang-dil rakh-rakhāv dil kā rakh
kahīñ is shīshe meñ na aa.e darāḌ
ġhair jaa.e to kaam kyuuñ na bane
duur chhātī se ho kahīñ ye phaaḌ
qad ko un ke kahā thā sarv to vo
pīchhe lipTe haiñ mere ho kar jhaaḌ
'ishq se rah alag jahāñ tak ho
kahīñ sar par na aa paḌe ye phaaḌ
qatl to kar chuke na ho badnām
mere lāshe ko do zamīn meñ gaaḌ
us kā chhāyā huā hai abr-e-sitam
kyuuñ na tīroñ kī mujh pe ho bauchhaḌ
koī mehmān taaza vārid hai
band rahte haiñ raat din jo kivāḌ
vo tafañg-e-mizha haiñ saf-ārā
tum pe 'majrūh' chal na jaa.e baaḌ
ek se rabt ek se hai bigaD
roz hai wan yahi ukhaD-pachhaD
ab wo dil mein kabhi nahin aate
muddaton se ye ghar paDa hai ujaD
kyun hai bekar mausam-e-gul mein
jeb kar chaak aur gareban phaD
kar-e-ashiq jo ho nigah mein durust
kahiye kya aap ka hai is mein bigaD
kahte ho ghair jae to aaun
KHub rakkhi hai aap ne ye aaD
sang-dil rakh-rakhaw dil ka rakh
kahin is shishe mein na aae daraD
ghair jae to kaam kyun na bane
dur chhati se ho kahin ye phaD
qad ko un ke kaha tha sarw to wo
pichhe lipTe hain mere ho kar jhaD
'ishq se rah alag jahan tak ho
kahin sar par na aa paDe ye phaD
qatl to kar chuke na ho badnam
mere lashe ko do zamin mein gaD
us ka chhaya hua hai abr-e-sitam
kyun na tiron ki mujh pe ho bauchhaD
koi mehman taza warid hai
band rahte hain raat din jo kiwaD
wo tafang-e-mizha hain saf-ara
tum pe 'majruh' chal na jae baD
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.