ek sharik-e-rah ka dhyan
ek sharīk-e-rāh kā dhyān
kar gayā har rasta sunsān
ek junūñ lākhoñ bohtān
kis kis se uljhe insān
raahī kis ko de āvāz
rasta gum manzil vīrān
kis kā muñh dekhe vo naav
raas na ho jis ko tūfān
sahl nahīñ ashkoñ kā ḳhulūs
ai ġham-e-dil mujh ko pahchān
zulmat is duniyā kī na pūchh
jis kā ujālā ho insān
chhup na sakegā dil kā zaḳhm
hañsne vaale maan na maan
apnā garebāñ apnā haath
is meñ kisī kā kyā nuqsān
Dūbne vaale yuuñ bhī 'shor'
Duub ga.e haiñ be-tūfān
ek sharik-e-rah ka dhyan
kar gaya har rasta sunsan
ek junun lakhon bohtan
kis kis se uljhe insan
rahi kis ko de aawaz
rasta gum manzil viran
kis ka munh dekhe wo naw
ras na ho jis ko tufan
sahl nahin ashkon ka KHulus
ai gham-e-dil mujh ko pahchan
zulmat is duniya ki na puchh
jis ka ujala ho insan
chhup na sakega dil ka zaKHm
hansne wale man na man
apna gareban apna hath
is mein kisi ka kya nuqsan
Dubne wale yun bhi 'shor'
Dub gae hain be-tufan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.