Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek sitam aur lakh adaen uf ri jawani hae zamane

Shad Azimabadi

ek sitam aur lakh adaen uf ri jawani hae zamane

Shad Azimabadi

MORE BYShad Azimabadi

    ek sitam aur laakh adā.eñ uf javānī haa.e zamāne

    tirchhī nigāheñ tañg qabā.eñ uf javānī haa.e zamāne

    hijr meñ apnā aur hai aalam abr-e-bahārāñ dīda-e-pur-nam

    zid ki hameñ vo aap bulā.eñ uf javānī haa.e zamāne

    apnī adā se aap jhijaknā apnī havā se aap khaTaknā

    chaal meñ laġhzish muñh pe hayā.eñ uf javānī haa.e zamāne

    haath meñ aaḌī teġh pakaḌnā taaki lage bhī zaḳhm to ochhā

    qasd ki phir bhar ke satā.eñ uf javānī haa.e zamāne

    kaalī ghaTā.eñ baaġh meñ jhūle dhānī dupaTTe laT jhaTkā.e

    mujh pe ye qadġhan aap na aa.eñ uf javānī haa.e zamāne

    pichhle pahar uTh uTh ke namāzeñ naak ragaḌnī sajdoñ pe sajde

    jo nahīñ jaa.ez us duā.eñ uf javānī haa.e zamāne

    'shād' na vo dīdār-parastī aur na vo be-nashsha mastī

    tujh ko kahāñ se DhūñDh ke laa.eñ uf javānī haa.e zamāne

    ek sitam aur lakh adaen uf ri jawani hae zamane

    tirchhi nigahen tang qabaen uf ri jawani hae zamane

    hijr mein apna aur hai aalam abr-e-bahaaran dida-e-pur-nam

    zid ki hamein wo aap bulaen uf ri jawani hae zamane

    apni ada se aap jhijakna apni hawa se aap khaTakna

    chaal mein laghzish munh pe hayaen uf ri jawani hae zamane

    hath mein aaDi tegh pakaDna taki lage bhi zaKHm to ochha

    qasd ki phir ji bhar ke sataen uf ri jawani hae zamane

    kali ghaTaen bagh mein jhule dhani dupaTTe laT jhaTkae

    mujh pe ye qadghan aap na aaen uf ri jawani hae zamane

    pichhle pahar uTh uTh ke namazen nak ragaDni sajdon pe sajde

    jo nahin jaez us ki duaen uf ri jawani hae zamane

    'shad' na wo didar-parasti aur na wo be-nashsha ki masti

    tujh ko kahan se DhunDh ke laen uf ri jawani hae zamane

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now