ek surat to hai jo usne mohabbat ki hai
ek sūrat to hai jo us ne mohabbat kī hai
baat jazbe kī hai yā baat zarūrat kī hai
vo bhī kaisā hai kasak dil kī samajhtā hī nahīñ
maiñ bhī kaisā huuñ na shikva na shikāyat kī hai
hausla haar diyā jald hī maiñ ne apnā
chhoḌ dene meñ zarā us ne bhī ujlat kī hai
kyā sitam hai ki bahāroñ ke hasīñ mausam meñ
ham parindoñ ne tire shahr se hijrat kī hai
kuchh namī sī mirī āñkhoñ meñ umañD aatī hai
jab kahe koī ki maiñ ne bhī mohabbat kī hai
chāhe saarā hī zamāna hai muḳhālif us kā
phir bhī 'āriz' ne faqat us kī himāyat kī hai
ek surat to hai jo us ne mohabbat ki hai
baat jazbe ki hai ya baat zarurat ki hai
wo bhi kaisa hai kasak dil ki samajhta hi nahin
main bhi kaisa hun na shikwa na shikayat ki hai
hausla haar diya jald hi main ne apna
chhoD dene mein zara us ne bhi ujlat ki hai
kya sitam hai ki bahaaron ke hasin mausam mein
hum parindon ne tere shahr se hijrat ki hai
kuchh nami si meri aankhon mein umanD aati hai
jab kahe koi ki main ne bhi mohabbat ki hai
chahe sara hi zamana hai muKHalif us ka
phir bhi 'ariz' ne faqat us ki himayat ki hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.