ek tamanna lakhon lashen
ek tamanna lākhoñ lāsheñ
ḳhvāhish puurī baaqī bāteñ
terā chehra dekhnā chāheñ
tārīkī haiñ andhī āñkheñ
apnī manzil ujḌī qabreñ
apnī daulat sūkhī ghāseñ
chhāyā sahmī kaañp rahī hai
us kā āñgan us kī shāḳheñ
vaqt kā pahiyā itnā dhīmā
kab tak angāroñ par rāteñ
kyā boleñ qismat ke maare
chhāgal ḳhālī ristī āñkheñ
tere jaate hī 'yahyā' se
dāman-kash barkhā kī rāteñ
ek tamanna lakhon lashen
KHwahish puri baqi baaten
tera chehra dekhna chahen
tariki hain andhi aankhen
apni manzil ujDi qabren
apni daulat sukhi ghasen
chhaya sahmi kanp rahi hai
us ka aangan us ki shaKHen
waqt ka pahiya itna dhima
kab tak angaron par raaten
kya bolen qismat ke mare
chhagal KHali risti aankhen
tere jate hi 'yahya' se
daman-kash barkha ki raaten
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.