ek-tarfa be-KHudi mein gum hua rahta hun main
ek-tarfa be-ḳhudī meñ gum huā rahtā huuñ maiñ
be-mahābā fāsloñ ko nāptā rahtā huuñ maiñ
mere ḳhadd-o-ḳhāl ko pahchānñā āsāñ nahīñ
rāste kī gard meñ aksar aTā rahtā huuñ maiñ
jāntā huuñ DhūñDhtā huuñ ik sarāb-e-nūr ko
phir bhī us kī khoj meñ paiham lagā rahtā huuñ maiñ
kārvān-e-shauq jis ko zindagī kahte ho tum
is tag-o-dau ke jilau meñ hī sadā rahtā huuñ maiñ
hazrat-e-vā'iz tujhe merā pata kyūñkar mile
jism ke kā'be meñ mānind-e-ḳhudā rahtā huuñ maiñ
ek-tarfa be-KHudi mein gum hua rahta hun main
be-mahaba faslon ko napta rahta hun main
mere KHadd-o-KHal ko pahchanna aasan nahin
raste ki gard mein aksar aTa rahta hun main
jaanta hun DhunDhta hun ek sarab-e-nur ko
phir bhi us ki khoj mein paiham laga rahta hun main
karwan-e-shauq jis ko zindagi kahte ho tum
is tag-o-dau ke jilau mein hi sada rahta hun main
hazrat-e-wa'iz tujhe mera pata kyunkar mile
jism ke ka'be mein manind-e-KHuda rahta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.