ek tartib se jab ashk numudar hue
ek tartīb se jab ashk numūdār hue
phir ye jaanā ki mohabbat meñ giraftār hue
ab mirī niiñd ke raste meñ khaḌe rahte haiñ
chand saa.e jo mire ḳhauf se tayyār hue
tire badle hue lahje ne ravayya badlā
aise badle ki tire naam se bezār hue
ab to koī bhī nahīñ haal sunā.eñ jis ko
muddateñ ho ga.iiñ be-yār-o-madadgār hue
tā-dam-e-marg siyah-posh hameñ rahnā hai
ya.anī ham log to paidā hī azādār hue
ek tartib se jab ashk numudar hue
phir ye jaana ki mohabbat mein giraftar hue
ab meri nind ke raste mein khaDe rahte hain
chand sae jo mere KHauf se tayyar hue
tere badle hue lahje ne rawayya badla
aise badle ki tere nam se bezar hue
ab to koi bhi nahin haal sunaen jis ko
muddaten ho gain be-yar-o-madadgar hue
ta-dam-e-marg siyah-posh hamein rahna hai
yani hum log to paida hi azadar hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.