ek to nainan kajrare aur tis par Dube kajal mein
ek to naināñ kajrāre aur tis par Duube kājal meñ
bijlī kī baḌh jaa.e chamak kuchh aur bhī gahre bādal meñ
aaj zarā lalchā.ī nazar se us ko bas kyā dekh liyā
pag-pag us ke dil kī dhaḌkan utrī aa.e paa.el meñ
pyāse pyāse naināñ us ke jaane paglī chāhe kyā
taT par jab bhī jaave soche nadiyā bhar luuñ chhāgal meñ
sub.h nahāne juuḌā khole naag badan se aa lipTeñ
us kī rañgat us kī ḳhushbū kitnī miltī sandal meñ
gorī is sansār meñ mujh ko aisā terā ruup lage
jaise koī diip jalā ho ghor añdhere jañgal meñ
pyaar kī yuuñ har buuñd jalā dī maiñ ne apne siine meñ
jaise koī jaltī māchis Daal de pī kar botal meñ
aaj pata kyā kaun se lamhe kaun sā tūfāñ jaag uThe
jaane kitnī dard kī sadiyāñ guuñj rahī haiñ pal pal meñ
ek to nainan kajrare aur tis par Dube kajal mein
bijli ki baDh jae chamak kuchh aur bhi gahre baadal mein
aaj zara lalchai nazar se us ko bas kya dekh liya
pag-pag us ke dil ki dhaDkan utri aae pael mein
pyase pyase nainan us ke jaane pagli chahe kya
taT par jab bhi jawe soche nadiya bhar lun chhagal mein
subh nahane juDa khole nag badan se aa lipTen
us ki rangat us ki KHushbu kitni milti sandal mein
gori is sansar mein mujh ko aisa tera rup lage
jaise koi dip jala ho ghor andhere jangal mein
pyar ki yun har bund jala di main ne apne sine mein
jaise koi jalti machis Dal de pi kar botal mein
aaj pata kya kaun se lamhe kaun sa tufan jag uThe
jaane kitni dard ki sadiyan gunj rahi hain pal pal mein
- Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 105)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.