ek tufan hai gham-e-ishq mein rona kya hai
ek tūfāñ hai ġham-e-ishq meñ ronā kyā hai
nahīñ mā'lūm ki anjām ko honā kyā hai
dekh kar sāñvlī sūrat tirī yūsuf bhī kahe
chaTpaTā husn namak-dār salonā kyā hai
chaar bāteñ bhī kabhī aap ne ghul-mil ke na kiiñ
unhīñ bātoñ kā hai ronā mujhe ronā kyā hai
kaash mil jaa.e tirā sāya-e-dīvār hameñ
oḌhnā kyā hai faqīroñ kā bichhonā kyā hai
us kī Thokar se bhī kam-baḳht na jaagā afsos
maut hai 'dāġh'-e-siyah-mast kā sonā kyā hai
ek tufan hai gham-e-ishq mein rona kya hai
nahin ma'lum ki anjam ko hona kya hai
dekh kar sanwli surat teri yusuf bhi kahe
chaTpaTa husn namak-dar salona kya hai
chaar baaten bhi kabhi aap ne ghul-mil ke na kin
unhin baaton ka hai rona mujhe rona kya hai
kash mil jae tera saya-e-diwar hamein
oDhna kya hai faqiron ka bichhona kya hai
us ki Thokar se bhi kam-baKHt na jaga afsos
maut hai 'dagh'-e-siyah-mast ka sona kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.