ek uDan ka Dar aur main
ek uḌaan kā Dar aur maiñ
mere TuuTe par aur maiñ
bhiig rahe haiñ sāvan meñ
merī chashm-tar aur maiñ
Duub ga.e haiñ sahrā meñ
shaam kā ik manzar aur maiñ
karvaT silvaT uktāhaT
niiñd bharā bistar aur maiñ
ḳhvāb kā manzar ḳhvāb nahīñ
itne saare dar aur maiñ
hañste baste jiite haiñ
murshid bachche ghar aur maiñ
ek uDan ka Dar aur main
mere TuTe par aur main
bhig rahe hain sawan mein
meri chashm-tar aur main
Dub gae hain sahra mein
sham ka ek manzar aur main
karwaT silwaT uktahaT
nind bhara bistar aur main
KHwab ka manzar KHwab nahin
itne sare dar aur main
hanste baste jite hain
murshid bachche ghar aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.