ek udasi dil par chhai rahti hai
ek udāsī dil par chhā.ī rahtī hai
mere kamre meñ tanhā.ī rahtī hai
siine meñ ik dard bhī rahtā hai bedār
āñkhoñ meñ kuchh niiñd bhī aa.ī rahtī hai
dil-dariyā kī thaah batā.eñ kyā jis meñ
saat samundar kī gahrā.ī rahtī hai
ham bhī isī bastī ke rahne rahne vaale haiñ
jis meñ terī be-parvā.ī rahtī hai
pahlū meñ ab 'saif' mirā kyā baaqī hai
dil hai jis meñ yaad parā.ī rahtī hai
ek udasi dil par chhai rahti hai
mere kamre mein tanhai rahti hai
sine mein ek dard bhi rahta hai bedar
aankhon mein kuchh nind bhi aai rahti hai
dil-dariya ki thah bataen kya jis mein
sat samundar ki gahrai rahti hai
hum bhi isi basti ke rahne rahne wale hain
jis mein teri be-parwai rahti hai
pahlu mein ab 'saif' mera kya baqi hai
dil hai jis mein yaad parai rahti hai
- Book : Kaf-e-gulfarosh (Pg. 43)
- Author : Saifuddin Saif
- Publication : Alhamd Publications (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.