ek zarra bhi na mil paega mera mujhko
ek zarra bhī na mil pā.egā merā mujh ko
zindagī tū ne kahāñ lā ke bikherā mujh ko
safar-e-shab meñ to phir chāñd kī hamrāhī hai
kyā ajab ho kisī jañgal meñ saverā mujh ko
maiñ kahāñ niklūñgā maazī ko sadā.eñ dene
maiñ ki ab yaad nahīñ naam bhī merā mujh ko
shikva-e-hāl-e-shiyah gardish-e-daurāñ se nahīñ
shaam baaqī thī ki jab raat ne gherā mujh ko
ek zarra bhi na mil paega mera mujh ko
zindagi tu ne kahan la ke bikhera mujh ko
safar-e-shab mein to phir chand ki hamrahi hai
kya ajab ho kisi jangal mein sawera mujh ko
main kahan niklunga mazi ko sadaen dene
main ki ab yaad nahin nam bhi mera mujh ko
shikwa-e-haal-e-shiyah gardish-e-dauran se nahin
sham baqi thi ki jab raat ne ghera mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.