Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faeda hai ya KHasara hum ko sab malum hai

Ahmad Iftikhar khatak

faeda hai ya KHasara hum ko sab malum hai

Ahmad Iftikhar khatak

MORE BYAhmad Iftikhar khatak

    fā.eda hai ḳhasāra ham ko sab ma.alūm hai

    kyoñ kareñ ham istiḳhāra ham ko sab ma.alūm hai

    log kyoñ ḳhud ko batāte haiñ hamārā ḳhair-ḳhvāh

    kaun hai kitnā hamārā ham ko sab ma.alūm hai

    kis ke ghar meñ tīrgī raaj thā kal raat ko

    chāñd kis ke ghar utārā ham ko sab ma.alūm hai

    zindagī hai naam jis zindagī hargiz nahīñ

    kar rahe haiñ sab guzārā ham ko sab ma.alūm hai

    sau samundar aañkh meñ to sau kināre haath par

    kyā samundar kyā kinārā ham ko sab ma.alūm hai

    kyā khulī hai kā.enātī ramz sachchī kitāb

    kyā huā hai āshkārā ham ko sab ma.alūm hai

    jaan de kar bachāyā ham ne is dastār ko

    phir uThā hai sar hamārā ham ko sab ma.alūm hai

    apnī aadat se to vāqif nahīñ ab tak ye log

    lauT ā.eñge dobāra ham ko sab ma.alūm hai

    chāñd zarra hai hamārī zamīñ 'iftiḳhār'

    āsmāñ hai ik sitārā ham ko sab ma.alūm hai

    faeda hai ya KHasara hum ko sab malum hai

    kyon karen hum istiKHara hum ko sab malum hai

    log kyon KHud ko batate hain hamara KHair-KHwah

    kaun hai kitna hamara hum ko sab malum hai

    kis ke ghar mein tirgi ka raj tha kal raat ko

    chand kis ke ghar utara hum ko sab malum hai

    zindagi hai nam jis ka zindagi hargiz nahin

    kar rahe hain sab guzara hum ko sab malum hai

    sau samundar aankh mein to sau kinare hath par

    kya samundar kya kinara hum ko sab malum hai

    kya khuli hai kaenati ramz ki sachchi kitab

    kya hua hai aashkara hum ko sab malum hai

    jaan de kar hi bachaya hum ne is dastar ko

    phir uTha hai sar hamara hum ko sab malum hai

    apni aadat se to waqif hi nahin ab tak ye log

    lauT aaenge dobara hum ko sab malum hai

    chand zarra hai hamari hi zamin ka 'iftiKHar'

    aasman hai ek sitara hum ko sab malum hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now