faeda kya tumhein sunane ka
fā.eda kyā tumheñ sunāne kā
maut unvāñ hai is fasāne kā
ham bhī apne nahīñ rahe ai dil
kis se shikva kareñ zamāne kā
zindagī chauñk chauñk uTThī hai
zikr sun kar sharāb-ḳhāne kā
kis kī āñkhoñ meñ aa.e haiñ aañsū
ruḳh badalne lagā zamāne kā
barq nazroñ meñ kauñd uThtī hai
naam sunte hī āshiyāne kā
'naqsh' kashtī ke nāḳhudā vo haiñ
lutf hai aaj Duub jaane kā
faeda kya tumhein sunane ka
maut unwan hai is fasane ka
hum bhi apne nahin rahe ai dil
kis se shikwa karen zamane ka
zindagi chaunk chaunk uTThi hai
zikr sun kar sharab-KHane ka
kis ki aankhon mein aae hain aansu
ruKH badalne laga zamane ka
barq nazron mein kaund uThti hai
nam sunte hi aashiyane ka
'naqsh' kashti ke naKHuda wo hain
lutf hai aaj Dub jaane ka
- Book : Andaaz (Pg. 152)
- Author : Mahesh Chandr Naqsh
- Publication : Sangam Kitab Ghar, Delhi (1962)
- Edition : 1962
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.