fahm-o-idrak ka husul samajh
fahm-o-idrāk kā husūl samajh
maiñ huuñ aadam mujhe rasūl samajh
kaj-nigāhī ko apnī bhuul samajh
ādamiyyat ke kuchh usuul samajh
lazzat-e-kam-savād kyā ma.anī
kasb kar yaas ko fuzūl samajh
reza-reza hai aa.ina dil kā
chehra chehra hai kyoñ malūl samajh
tesha-e-vaqt karbnāk sahī
shaam ko sub.h kā nuzūl samajh
jāh-o-mansab kī chaah meñ 'nashtar'
ḳhud ko arzāñ na kar usuul samajh
fahm-o-idrak ka husul samajh
main hun aadam mujhe rasul samajh
kaj-nigahi ko apni bhul samajh
aadamiyyat ke kuchh usul samajh
lazzat-e-kam-sawad kya mani
kasb kar yas ko fuzul samajh
reza-reza hai aaina dil ka
chehra chehra hai kyon malul samajh
tesha-e-waqt karbnak sahi
sham ko subh ka nuzul samajh
jah-o-mansab ki chah mein 'nashtar'
KHud ko arzan na kar usul samajh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.