fahm-o-idrak se rutba tera baala dekha
fahm-o-idrāk se rutba tirā baalā dekhā
qāfiya tang bahut fikr-e-rasā kā dekhā
jān-o-dil hosh ḳhirad sam'-o-basar haiñ shashdar
kis ne paayā tujhe jaanā tujhe samjhā dekhā
dekhne vaale tire hosh meñ kab hote haiñ
aap hī tū ne magar apnā tamāshā dekhā
lan-tarānī to sunā saaf javāb-e-arinī
aap se jā ke bhī kuchh hazrat-e-mūsā dekhā
jalva-e-hosh-rubā ḳhuub uThāyā parda
kyā kahe dīda-e-dīdār-talab kyā dekhā
jaane kis haal meñ hai kuchh nahīñ aalam kī ḳhabar
tere dīvāne kā aalam hī nirālā dekhā
tere pardoñ hī meñ pinhān na ho nūr-e-nazar
tū ne ab tak bhī na kuchh dīda-e-bīnā dekhā
zarre zarre ko tire aks se paayā ḳhurshīd
qatre qatre ko tire faiz se dariyā dekhā
ġhunche-ġhunche meñ haiñ sar-basta rumūz-e-hikmat
dil-e-ārif kī tarah phuul bhī khiltā dekhā
Thokareñ khāte haiñ kyā kyā na ubharne vaale
miTne vāloñ hī ko is raah meñ achchhā dekhā
fahm-o-idrak se rutba tera baala dekha
qafiya tang bahut fikr-e-rasa ka dekha
jaan-o-dil hosh KHirad sam'-o-basar hain shashdar
kis ne paya tujhe jaana tujhe samjha dekha
dekhne wale tere hosh mein kab hote hain
aap hi tu ne magar apna tamasha dekha
lan-tarani to suna saf jawab-e-arini
aap se ja ke bhi kuchh hazrat-e-musa dekha
jalwa-e-hosh-ruba KHub uThaya parda
kya kahe dida-e-didar-talab kya dekha
jaane kis haal mein hai kuchh nahin aalam ki KHabar
tere diwane ka aalam hi nirala dekha
tere pardon hi mein pinhan na ho nur-e-nazar
tu ne ab tak bhi na kuchh dida-e-bina dekha
zarre zarre ko tere aks se paya KHurshid
qatre qatre ko tere faiz se dariya dekha
ghunche-ghunche mein hain sar-basta rumuz-e-hikmat
dil-e-arif ki tarah phul bhi khilta dekha
Thokaren khate hain kya kya na ubharne wale
miTne walon hi ko is rah mein achchha dekha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.