fahmida hai jo tujhko to fahmid se nikal
fahmida hai jo tujhko to fahmid se nikal
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
fahmīda hai jo tujh ko to fahmīd se nikal
aur diid kā jo shauq hai to diid se nikal
zindān-e-hijr meñ hameñ sauñpā thā 'ishq ne
aa.e haiñ ham nasīboñ kī tā.īd se nikal
qālib meñ mere yaaro bhalā kyā samāvī dam
jab jaan ko kahe koī tākīd se nikal
tashbīb meñ bhī lutf hai ik ai qasīda-go
itnā shitāb bhī tū na tamhīd se nikal
misra' ko pahuñche misra-e-sānī burā hai kyā
kar le nikāh ālam-e-tajrīd se nikal
kar tū uyūb-e-nazm se parhez ai fulāñ
shā'ir hai to tanāfur o tā'qīd se nikal
haiñ yaad kab ai merī vahshat ke rang-Dhang
majnūñ gayā hai dasht ko taqlīd se nikal
vo mast maiñ nahīñ huuñ ki mastoñ kī khā ke dhuul
jā.ūñ sharāb-ḳhāna-e-tauhīd se nikal
ho 'mus.hafī' tū ilm-e-ilāhī kā āshnā
qaid-e-anāsir aur mavālīd se nikal
fahmida hai jo tujh ko to fahmid se nikal
aur did ka jo shauq hai to did se nikal
zindan-e-hijr mein hamein saunpa tha 'ishq ne
aae hain hum nasibon ki taid se nikal
qalib mein mere yaro bhala kya samawi dam
jab jaan ko kahe koi takid se nikal
tashbib mein bhi lutf hai ek ai qasida-go
itna shitab bhi tu na tamhid se nikal
misra' ko pahunche misra-e-sani bura hai kya
kar le nikah aalam-e-tajrid se nikal
kar tu uyub-e-nazm se parhez ai fulan
sha'ir hai to tanafur o ta'qid se nikal
hain yaad kab ai meri wahshat ke rang-Dhang
majnun gaya hai dasht ko taqlid se nikal
wo mast main nahin hun ki maston ki kha ke dhul
jaun sharab-KHana-e-tauhid se nikal
ho 'mushafi' tu ilm-e-ilahi ka aashna
qaid-e-anasir aur mawalid se nikal
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(shashum) (Pg. 196)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.