faisla koi bulandi pe pahunch kar hoga
faisla koī bulandī pe pahuñch kar hogā
jab mire sāmne har shahr kā manzar hogā
aur kuchh der ise rauñd ke ḳhush ho jā.ūñ
aañkh khulte hī ye sūraj mire sar par hogā
kashtiyāñ aaj se pahle huiiñ kitnī ġharqāb
is kā andāza samundar meñ utar kar hogā
ik nujūmī ne batā.ī hai baḌe kaam kī baat
kal kā din aaj se har haal meñ behtar hogā
kyuuñ na maiñ apne qadam soch samajh kar rakkhūñ
vo ta.āqub meñ mire saath to aksar hogā
is ke saa.e meñ chhupe baiThe haiñ kitne afrād
is kā andāza to dīvār girā kar hogā
toḌ Daale the dar-o-bām safar se pahle
muntazir mere liye phir bhī mirā ghar hogā
ghuTniyoñ chalnā abhī aaj hī sīkhā hai 'zafar'
kal ye bachcha bhī mire qad ke barābar hogā
faisla koi bulandi pe pahunch kar hoga
jab mere samne har shahr ka manzar hoga
aur kuchh der ise raund ke KHush ho jaun
aankh khulte hi ye suraj mere sar par hoga
kashtiyan aaj se pahle huin kitni gharqab
is ka andaza samundar mein utar kar hoga
ek nujumi ne batai hai baDe kaam ki baat
kal ka din aaj se har haal mein behtar hoga
kyun na main apne qadam soch samajh kar rakkhun
wo taaqub mein mere sath to aksar hoga
is ke sae mein chhupe baiThe hain kitne afrad
is ka andaza to diwar gira kar hoga
toD Dale the dar-o-baam safar se pahle
muntazir mere liye phir bhi mera ghar hoga
ghuTniyon chalna abhi aaj hi sikha hai 'zafar'
kal ye bachcha bhi mere qad ke barabar hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.