Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

faisla kya ho jaan-e-bismil ka

Zeba

faisla kya ho jaan-e-bismil ka

Zeba

MORE BYZeba

    faisla kyā ho jān-e-bismil

    maut ruḳh dekhtī hai qātil

    dil-lagī hai sambhālnā dil

    nāsehā kaam hai ye mushkil

    maut bhī kaañp kaañp uThtī hai

    naam sun sun ke mere qātil

    mil ke talvoñ se hañs ke kahte haiñ

    thā zamāne meñ shor usī dil

    hasrateñ is pate par aatī haiñ

    dāġh-e-dil hai charāġh manzil

    kyā qarīne se gul haiñ gulshan meñ

    rañg uḌāyā kisī ke mahfil

    aap ko kho ke tum ko DhūñDh liyā

    hausla thā ye mere dil

    be-naqāb us ne kis ko dekh liyā

    rañg faq hai jo māh-e-kāmil

    hañs ke phūloñ ko vo kareñge subuk

    rañg uḌā.eñge ham anādil

    zikr-e-ġham bazm-e-yār meñ 'zebā'

    rañg bhī dekhte ho mahfil

    faisla kya ho jaan-e-bismil ka

    maut ruKH dekhti hai qatil ka

    dil-lagi hai sambhaalna dil ka

    naseha kaam hai ye mushkil ka

    maut bhi kanp kanp uThti hai

    nam sun sun ke mere qatil ka

    mil ke talwon se hans ke kahte hain

    tha zamane mein shor usi dil ka

    hasraten is pate par aati hain

    dagh-e-dil hai charagh manzil ka

    kya qarine se gul hain gulshan mein

    rang uDaya kisi ke mahfil ka

    aap ko kho ke tum ko DhunDh liya

    hausla tha ye mere hi dil ka

    be-naqab us ne kis ko dekh liya

    rang faq hai jo mah-e-kaamil ka

    hans ke phulon ko wo karenge subuk

    rang uDaenge hum anadil ka

    zikr-e-gham bazm-e-yar mein 'zeba'

    rang bhi dekhte ho mahfil ka

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now