faisla mumkin hai yun munsif agar aadil na ho
faisla mumkin hai yuuñ munsif agar aadil na ho
qatl to hote raheñ sābit koī qātil na ho
mushkileñ āsāñ na hoñ merī to mujh ko ġham nahīñ
par jo hai āsāñ kam az kam vo to ab mushkil na ho
dafn haiñ daftar kī file meñ hazāroñ mas.ale
aisā lagtā hai ki jaise qabr ho file na ho
ḳhatm hone ko safar hai saath chhūTā jaa.e hai
chāhtā hai dil mirā manzil abhī hāsil na ho
ishq hai aisā safar jis kī koī manzil nahīñ
ya.anī ik kashtī ki jis ke vāste sāhil na ho
faisla mumkin hai yun munsif agar aadil na ho
qatl to hote rahen sabit koi qatil na ho
mushkilen aasan na hon meri to mujh ko gham nahin
par jo hai aasan kam az kam wo to ab mushkil na ho
dafn hain daftar ki file mein hazaron masale
aisa lagta hai ki jaise qabr ho file na ho
KHatm hone ko safar hai sath chhuTa jae hai
chahta hai dil mera manzil abhi hasil na ho
ishq hai aisa safar jis ki koi manzil nahin
yani ek kashti ki jis ke waste sahil na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.