fajar uTh KHwab sin gulshan mein jab tumne mali ankhiyan
fajar uTh KHwab sin gulshan mein jab tumne mali ankhiyan
Abroo Shah Mubarak
MORE BYAbroo Shah Mubarak
fajar uTh ḳhvāb siiñ gulshan meñ jab tum ne malī añkhiyāñ
ga.iiñ muñd sharm suuñ nargis kī pyāre juuñ kalī añkhiyāñ
nazar bhar dekh tere ātishīñ ruḳhsār ai gul-rū
mire dil kī ba-rañg-e-qatra-e-shabnam galī añkhiyāñ
ḳhirāmāñ āb-e-haivāñ juuñ chalā jab jaan aage siiñ
añjhū kā bhes kar pīchhūñ siiñ pyāre bah chalī añkhiyāñ
tumheñ auroñ siiñ duunā dekhtī haiñ ḳhush-numā.ī meñ
hunar jaane haiñ apnā aaj aib-e-ahvalī añkhiyāñ
pakaḌ mizhgāñ ke panje suuñ maroḌā yuuñ mire dil ko
tirī zor-āvarī meñ aaj rustam haiñ balī añkhiyāñ
tirā har uzv pyāre ḳhush-numā hai uzv-e-dīgar siiñ
mizha siiñ ḳhūb-tar abrū va abrū siiñ bhalī añkhiyāñ
tahayyur ke phañde meñ said ho kar chaukḌī bhūle
agar aahū kuuñ dikhlā.ūñ sajan kī achpalī añkhiyāñ
huī fānūs gardūñ ke siyah kājal suuñ sar-tā-pā
shab-e-hijrāñ meñ terī sham.a ho yaañ lag jalī añkhiyāñ
zabāñ kar apne mizhgāñ kuuñ lagī haiñ reḳhte paḌhne
huī haiñ 'ābrū' ke vasf meñ terī valī añkhiyāñ
fajar uTh KHwab sin gulshan mein jab tum ne mali ankhiyan
gain mund sharm sun nargis ki pyare jun kali ankhiyan
nazar bhar dekh tere aatishin ruKHsar ai gul-ru
mere dil ki ba-rang-e-qatra-e-shabnam gali ankhiyan
KHiraman aab-e-haiwan jun chala jab jaan aage sin
anjhu ka bhes kar pichhun sin pyare bah chali ankhiyan
tumhein auron sin duna dekhti hain KHush-numai mein
hunar jaane hain apna aaj aib-e-ahwali ankhiyan
pakaD mizhgan ke panje sun maroDa yun mere dil ko
teri zor-awari mein aaj rustam hain bali ankhiyan
tera har uzw pyare KHush-numa hai uzw-e-digar sin
mizha sin KHub-tar abru wa abru sin bhali ankhiyan
tahayyur ke phande mein said ho kar chaukDi bhule
agar aahu kun dikhlaun sajan ki achpali ankhiyan
hui fanus gardun ke siyah kajal sun sar-ta-pa
shab-e-hijran mein teri shama ho yan lag jali ankhiyan
zaban kar apne mizhgan kun lagi hain reKHte paDhne
hui hain 'abru' ke wasf mein teri wali ankhiyan
- Book : Deewan-e-Aabro (Pg. 34)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.