Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak deta hai jinko aish un ko gham bhi hote hain

Dagh Dehlvi

falak deta hai jinko aish un ko gham bhi hote hain

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    falak detā hai jin ko aish un ko ġham bhī hote haiñ

    jahāñ bajte haiñ naqqāre vahīñ mātam bhī hote haiñ

    gile shikve kahāñ tak hoñge aadhī raat to guzrī

    pareshāñ tum bhī hote ho pareshāñ ham bhī hote haiñ

    jo rakkhe chārāgar kāfūr duunī aag lag jaa.e

    kahīñ ye zaḳhm-e-dil sharminda-e-marham bhī hote haiñ

    vo āñkheñ sāmrī-fan haiñ vo lab īsā-nafas dekho

    mujhī par sehr hote haiñ mujhī par dam bhī hote haiñ

    zamāna dostī par in hasīnoñ na itrā.e

    ye ālam-dost aksar dushman-e-ālam bhī hote haiñ

    ba-zāhir rahnumā haiñ aur dil meñ bad-gumānī hai

    tire kūche meñ jo jaatā hai aage ham bhī hote haiñ

    hamāre āñsuoñ ābdārī aur kuchh hai

    ki yuuñ hone ko raushan gauhar-e-shabnam bhī hote haiñ

    ḳhudā ke ghar meñ kyā hai kaam zāhid bāda-ḳhvāroñ

    jinheñ miltī nahīñ vo tishna-e-zamzam bhī hote haiñ

    hamāre saath paidā huā hai ishq ai nāseh

    judā.ī kis tarah se ho judā tavām bhī hote haiñ

    nahīñ ghaTtī shab-e-furqat bhī aksar ham ne dekhā hai

    jo baḌh jaate haiñ had se vo ghaT kar kam bhī hote haiñ

    bachā.ūñ pairahan kyā chārāgar maiñ dast-e-vahshat se

    kahīñ aise garebāñ dāman-e-maryam bhī hote haiñ

    tabī.at kajī hargiz miTā.e se nahīñ miTtī

    kabhī sīdhe tumhāre gesu-e-pur-ḳham bhī hote haiñ

    jo kahtā huuñ ki martā huuñ to farmāte haiñ mar jaao

    jo ġhash aatā hai to mujh par hazāroñ dam bhī hote haiñ

    kisī vāda-e-dīdār to ai 'dāġh' bar-haq hai

    magar ye dekhiye dil-shād us din ham bhī hote haiñ

    falak deta hai jin ko aish un ko gham bhi hote hain

    jahan bajte hain naqqare wahin matam bhi hote hain

    gile shikwe kahan tak honge aadhi raat to guzri

    pareshan tum bhi hote ho pareshan hum bhi hote hain

    jo rakkhe chaaragar kafur duni aag lag jae

    kahin ye zaKHm-e-dil sharminda-e-marham bhi hote hain

    wo aankhen samri-fan hain wo lab isa-nafas dekho

    mujhi par sehr hote hain mujhi par dam bhi hote hain

    zamana dosti par in hasinon ki na itrae

    ye aalam-dost aksar dushman-e-alam bhi hote hain

    ba-zahir rahnuma hain aur dil mein bad-gumani hai

    tere kuche mein jo jata hai aage hum bhi hote hain

    hamare aansuon ki aabdari aur hi kuchh hai

    ki yun hone ko raushan gauhar-e-shabnam bhi hote hain

    KHuda ke ghar mein kya hai kaam zahid baada-KHwaron ka

    jinhen milti nahin wo tishna-e-zamzam bhi hote hain

    hamare sath hi paida hua hai ishq ai naseh

    judai kis tarah se ho juda tawam bhi hote hain

    nahin ghaTti shab-e-furqat bhi aksar hum ne dekha hai

    jo baDh jate hain had se wo hi ghaT kar kam bhi hote hain

    bachaun pairahan kya chaaragar main dast-e-wahshat se

    kahin aise gareban daman-e-maryam bhi hote hain

    tabiat ki kaji hargiz miTae se nahin miTti

    kabhi sidhe tumhaare gesu-e-pur-KHam bhi hote hain

    jo kahta hun ki marta hun to farmate hain mar jao

    jo ghash aata hai to mujh par hazaron dam bhi hote hain

    kisi ka wada-e-didar to ai 'dagh' bar-haq hai

    magar ye dekhiye dil-shad us din hum bhi hote hain

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    falak deta hai jinko aish un ko gham bhi hote hain Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now