Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

falak ki gardishen aisi nahin jin mein qadam Thahre

Habeeb Moosavi

falak ki gardishen aisi nahin jin mein qadam Thahre

Habeeb Moosavi

MORE BYHabeeb Moosavi

    falak gardisheñ aisī nahīñ jin meñ qadam Thahre

    sakūñ dushvār hai kyūñkar tabī'at koī dam Thahre

    qazā ne dostoñ se dekhiye āḳhir kiyā nādim

    kiye the 'ahd-o-paimāñ jis qadar vo kul 'adam Thahre

    chhuā ne jise maarā use ai afa.ī-e-gesū

    ye sab tiryāq mere tajraba karne meñ sam Thahre

    kiyā jab ġhaur kosoñ duur niklī manzil-e-maqsad

    kabhī gar pā-e-shal uTThe to chal kar do qadam Thahre

    lagā kar dil judā honā na thī shart-e-vafā sāhab

    ġham-e-furqat shiddat se karam jaur-o-sitam Thahre

    jo kuchh dekhā vo ā.īna thā aane vaalī hālat

    jahāñ dekhā yahī āñkhoñ ke kāñse jām-e-jam Thahre

    'amal kahne pe apne hazrat-e-vā'iz kareñ pahle

    gunah ke mo'tarif jab haiñ to vo kab mohtaram Thahre

    javānī siyah-mastī meñ vasf-e-zulf likkhā thā

    baḌhā vo silsila aisā ki ham mushkīñ qalam Thahre

    ye sābit hai ki mutlaq ta.ayyun ho nahīñ saktā

    vo sālik nahīñ jo chal ke tā-dair-o-haram Thahre

    bashar ko qaid-e-kulfat māya-e-andoh-o-āfat hai

    rahe achchhe jo is mehmāñ-sarā meñ aa ke kam Thahre

    'habīb'-e-nā-tavāñ se rāh-e-ulfat tai nahīñ hotī

    'ajab kyā gar ye rasta jāda-e-mulk-e-adam Thahre

    falak ki gardishen aisi nahin jin mein qadam Thahre

    sakun dushwar hai kyunkar tabi'at koi dam Thahre

    qaza ne doston se dekhiye aaKHir kiya nadim

    kiye the 'ahd-o-paiman jis qadar wo kul 'adam Thahre

    chhua tu ne jise mara use ai afai-e-gesu

    ye sab tiryaq mere tajraba karne mein sam Thahre

    kiya jab ghaur koson dur nikli manzil-e-maqsad

    kabhi gar pa-e-shal uTThe to chal kar do qadam Thahre

    laga kar dil juda hona na thi shart-e-wafa sahab

    gham-e-furqat ki shiddat se karam jaur-o-sitam Thahre

    jo kuchh dekha wo aaina tha aane wali haalat ka

    jahan dekha yahi aankhon ke kanse jam-e-jam Thahre

    'amal kahne pe apne hazrat-e-wa'iz karen pahle

    gunah ke mo'tarif jab hain to wo kab mohtaram Thahre

    jawani ki siyah-masti mein wasf-e-zulf likkha tha

    baDha wo silsila aisa ki hum mushkin qalam Thahre

    ye sabit hai ki mutlaq ka tayyun ho nahin sakta

    wo salik hi nahin jo chal ke ta-dair-o-haram Thahre

    bashar ko qaid-e-kulfat maya-e-andoh-o-afat hai

    rahe achchhe jo is mehman-sara mein aa ke kam Thahre

    'habib'-e-na-tawan se rah-e-ulfat tai nahin hoti

    'ajab kya gar ye rasta jada-e-mulk-e-adam Thahre

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now