falak ko kis ne ek parkar par rakkha hua hai
falak ko kis ne ik parkār par rakkhā huā hai
zamīñ ko bhī usī raftār par rakkhā huā hai
abhī ik ḳhvāb maiñ ne jāgte meñ aise hai dekhā
mirā aañsū tire ruḳhsār par rakkhā huā hai
shikast-o-fat.h kī ḳhātir hameñ laḌnā nahīñ hai
hamārā faisla sālār par rakkhā huā hai
palaT kar aa hī jā.egā kabhī bhūle se shāyad
so maiñ ne ik diyā dīvār par rakkhā huā hai
falak ko kis ne ek parkar par rakkha hua hai
zamin ko bhi usi raftar par rakkha hua hai
abhi ek KHwab main ne jagte mein aise hai dekha
mera aansu tere ruKHsar par rakkha hua hai
shikast-o-fath ki KHatir hamein laDna nahin hai
hamara faisla salar par rakkha hua hai
palaT kar aa hi jaega kabhi bhule se shayad
so main ne ek diya diwar par rakkha hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.