falak par chand tare so rahe hain
falak par chāñd taare so rahe haiñ
zamīñ par ġham ke maare so rahe haiñ
jo the ḳhvāhāñ bahut gahrā.iyoñ ke
vo sāgar ke kināre so rahe haiñ
hai maujoñ meñ chhupe tūfān kitne
nadī suunī hai dhāre so rahe haiñ
huā jab se lahū jaarī chaman se
vo din se sab nazāre so rahe haiñ
buzurgoñ kī duā us ḳhaak ko hai
vo jis meñ un ke pyāre so rahe haiñ
falak par chand tare so rahe hain
zamin par gham ke mare so rahe hain
jo the KHwahan bahut gahraiyon ke
wo sagar ke kinare so rahe hain
hai maujon mein chhupe tufan kitne
nadi suni hai dhaare so rahe hain
hua jab se lahu jari chaman se
wo din se sab nazare so rahe hain
buzurgon ki dua us KHak ko hai
wo jis mein un ke pyare so rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.