falak pe chand ke haale bhi sog karte hain
falak pe chāñd ke haale bhī sog karte haiñ
jo tū nahīñ to ujāle bhī sog karte haiñ
tumhāre haath kī chūḌī bhī bain kartī hai
hamāre hoñT ke taale bhī sog karte haiñ
nagar nagar meñ vo bikhre haiñ zulm ke manzar
hamārī ruuh ke chhāle bhī sog karte haiñ
use kaho ki sitam meñ vo kuchh kamī kar de
ki zulm toḌne vaale bhī sog karte haiñ
tum apne dukh pe akele nahīñ ho afsurda
tumhāre chāhne vaale bhī sog karte haiñ
falak pe chand ke haale bhi sog karte hain
jo tu nahin to ujale bhi sog karte hain
tumhaare hath ki chuDi bhi bain karti hai
hamare honT ke tale bhi sog karte hain
nagar nagar mein wo bikhre hain zulm ke manzar
hamari ruh ke chhaale bhi sog karte hain
use kaho ki sitam mein wo kuchh kami kar de
ki zulm toDne wale bhi sog karte hain
tum apne dukh pe akele nahin ho afsurda
tumhaare chahne wale bhi sog karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.