falak ye jaur-o-sitam mujhse na-tawan ke liye
falak ye jaur-o-sitam mujhse na-tawan ke liye
Hakeem Aagha Jan Aish
MORE BYHakeem Aagha Jan Aish
falak ye jaur-o-sitam mujh se nā-tavāñ ke liye
maiñ hī thā kyā tire zulmoñ ke imtihāñ ke liye
dil āshiqoñ ke the pāmālī-e-butāñ ke liye
na jaur-e-ġhair-o-jafā-hā-e-āsmāñ ke liye
maiñ musta.id huuñ agar nāla-o-fuġhāñ ke liye
to kuchh se kuchh abhī ho jaa.e āsmāñ ke liye
phañsā ke yaar kī zulfoñ meñ ham ne dil dekho
ḳharīdī aur balā ek apnī jaañ ke liye
sitam hai fasl-e-bahārī meñ bāġhbāñ kā hukm
na ho.e baaġh meñ bulbul ko āshiyāñ kai liye
kahegā nāsehā kyā fā.ede kī tū mere
hue haiñ ḳhalq hī āshiq faqat ziyāñ kai liye
na ḳharch bā-ḳhudā umr-e-azīz apnī kar
milā nahīñ tujhe ye naqd rā.egāñ ke liye
yahāñ haiñ TukḌe jigar mah-vashoñ ke be-dekhe
ye baat kab hai mayassar bhalā katāñ ke liye
hamārā roknā achchhā nahiñ hai sun lenā
ek aur roz burā hogā pāsbāñ kai liye
na ho.e kyuuñ dar-e-asnām sajda-gah apnā
jabīñ banī hai butoñ hī ke āstāñ ke liye
basā hai dil ke mire qasr meñ tasavvur-e-yār
makīn thā ye sazā-vār is makāñ ke liye
sunā ke qissa-e-ġham apnā us ko apne hī
dil-o-jigar ne maze ġham kī dāstāñ ke liye
use to roz bahāne ko chāhiyeñ dariyā
kahāñ se lā.ūñ maiñ us chashm-e-ḳhūñfishāñ ke liye
nahīñ to bar-sar-e-har-mudda.ā hai sau sau baar
par ik zabān jo hiltī nahīñ so haañ kai liye
chhupā rahe na ruḳh-e-yār zulf meñ kyūñ-kar
taqayya farz hai momin ko hifz-e-jāñ ke liye
sunā jo mad.h bhī kiije to kiije aise kī
ki jis kī mad.h ho faḳhr ahl-e-āsmāñ ke liye
na ye ki har kas-o-nā-kas ke bhaaT jā.iye ban
pa.e-umīd-e-zar-e-naqd-o-hirs-e-nāñ ke liye
nahīñ hai mad.h kisī ke liye yahāñ zebā
jo hai to hai nabī-e-āḳhiruz-zamāñ ke liye
vo vo hai naam zabāñ par gar us kā aa jaave
to lazzat aur hī hāsil ho kām-o-jāñ ke liye
vo vo hai nām-e-ḳhudā dekho jis kā zarra-e-lutf
faroġh-baḳhsh hai is tīra-ḳhāk-dāñ ke liye
usī ke hai ruḳh-e-anvar se ye jahāñ raushan
usī se nuur hai ḳhurshīd-e-āsmāñ ke liye
vo kaun sarvar-e-ālam mohammad-e-arabī
ki jis kī zaat se hai faiz do-jahāñ ke liye
atā kiyā hai ḳhudā ne vo haañ use dil-o-dast
ki jis se pahuñche hai imdād bahr-o-kāñ ke liye
kalīd-e-qufl-e-dar-e-ārzū haiñ us kī bhaveñ
bilā-mubālaġha kahtā huuñ ins-o-jāñ ke liye
itā.at us kī zaḳhīra hai bas sa.ādat kā
yahāñ ke vāste aur mulk-e-jāvedāñ ke liye
vo jo zabān ki ho us kī mad.h se sākit
majāl-e-nutq na ho 'aish' us zabāñ ke liye
falak ye jaur-o-sitam mujh se na-tawan ke liye
main hi tha kya tere zulmon ke imtihan ke liye
dil aashiqon ke the pamali-e-butan ke liye
na jaur-e-ghair-o-jafa-ha-e-asman ke liye
main mustaid hun agar nala-o-fughan ke liye
to kuchh se kuchh abhi ho jae aasman ke liye
phansa ke yar ki zulfon mein hum ne dil dekho
KHaridi aur bala ek apni jaan ke liye
sitam hai fasl-e-bahaari mein baghban ka hukm
na hoe bagh mein bulbul ko aashiyan kai liye
kahega naseha kya faede ki tu mere
hue hain KHalq hi aashiq faqat ziyan kai liye
na KHarch ba-KHuda umr-e-aziz apni kar
mila nahin tujhe ye naqd raegan ke liye
yahan hain TukDe jigar mah-washon ke be-dekhe
ye baat kab hai mayassar bhala katan ke liye
hamara rokna achchha nahin hai sun lena
ek aur roz bura hoga pasban kai liye
na hoe kyun dar-e-asnam sajda-gah apna
jabin bani hai buton hi ke aastan ke liye
basa hai dil ke mere qasr mein tasawwur-e-yar
makin tha ye saza-war is makan ke liye
suna ke qissa-e-gham apna us ko apne hi
dil-o-jigar ne maze gham ki dastan ke liye
use to roz bahane ko chahiyen dariya
kahan se laun main us chashm-e-KHunfishan ke liye
nahin to bar-sar-e-har-muddaa hai sau sau bar
par ek zaban jo hilti nahin so han kai liye
chhupa rahe na ruKH-e-yar zulf mein kyun-kar
taqayya farz hai momin ko hifz-e-jaan ke liye
suna jo madh bhi kije to kije aise ki
ki jis ki madh ho faKHr ahl-e-asman ke liye
na ye ki har kas-o-na-kas ke bhaT jaiye ban
pae-umid-e-zar-e-naqd-o-hirs-e-nan ke liye
nahin hai madh kisi ke liye yahan zeba
jo hai to hai nabi-e-aKHiruz-zaman ke liye
wo wo hai nam zaban par gar us ka aa jawe
to lazzat aur hi hasil ho kaam-o-jaan ke liye
wo wo hai nam-e-KHuda dekho jis ka zarra-e-lutf
farogh-baKHsh hai is tira-KHak-dan ke liye
usi ke hai ruKH-e-anwar se ye jahan raushan
usi se nur hai KHurshid-e-asman ke liye
wo kaun sarwar-e-alam mohammad-e-arabi
ki jis ki zat se hai faiz do-jahan ke liye
ata kiya hai KHuda ne wo han use dil-o-dast
ki jis se pahunche hai imdad bahr-o-kan ke liye
kalid-e-qufl-e-dar-e-arzu hain us ki bhawen
bila-mubaalagha kahta hun ins-o-jaan ke liye
itaat us ki zaKHira hai bas saadat ka
yahan ke waste aur mulk-e-jawedan ke liye
wo jo zaban ki ho us ki madh se sakit
majal-e-nutq na ho 'aish' us zaban ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.