fan ke shajar par phal jo lage hain
fan ke shajar par phal jo lage haiñ
un meñ zyāda tar kachche haiñ
kaisā ye kal-jug aayā hai
log paḌosī se Darte haiñ
jhuuT hai sab aa.e the fasādī
ye to karishme vardī ke haiñ
kitne dānish-var ho bhayyā
jānñe vaale jaan rahe haiñ
chīḳh ke lahja bol rahā hai
sher 'shuhūd' āfāqī ke haiñ
fan ke shajar par phal jo lage hain
un mein zyaada tar kachche hain
kaisa ye kal-jug aaya hai
log paDosi se Darte hain
jhuT hai sab aae the fasadi
ye to karishme wardi ke hain
kitne danish-war ho bhayya
jaanne wale jaan rahe hain
chiKH ke lahja bol raha hai
sher 'shuhud' aafaqi ke hain
- Book : Aiwan (Pg. 65)
- Author : Manazir Ashiq Harganvi & Shahid Nayeem
- Publication : Nirali Duniya (1998)
- Edition : 1998
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.