Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fana kahte hain kis ko maut se pahle hi mar jaana

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

fana kahte hain kis ko maut se pahle hi mar jaana

Maharaja Sir Kishan Parashad Shad

MORE BYMaharaja Sir Kishan Parashad Shad

    fanā kahte haiñ kis ko maut se pahle mar jaanā

    baqā hai naam kis apnī hastī se guzar jaanā

    jo rokā raah meñ hur ne to shah abbās se bole

    mire bhaa.ī na ġhusse meñ kahīñ had se guzar jaanā

    kahā ahl-e-haram ne roke yuuñ akbar ke lāshe par

    javāñ hone shāyad tum ne rakkhā naam mar jaanā

    baqā meñ thā fanā martaba hāsil shahīdoñ ko

    vahāñ is par amal thā maut se pahle mar jaanā

    na lete kaam gar sibt-e-nabī sabr-o-tahammul se

    la.īnoñ nigāh-e-ḳhashm se āsāñ thā mar jaanā

    dikhā.ī jañg meñ sūrat udhar pahuñche vo kausar

    ye asġhar thī raftār idhar aanā udhar jaanā

    yahāñ zinda rahnā maut se bad-tar samajhtā huuñ

    hayāt-e-jāvidāñ hai karbalā meñ ke mar jaanā

    fana kahte hain kis ko maut se pahle hi mar jaana

    baqa hai nam kis ka apni hasti se guzar jaana

    jo roka rah mein hur ne to shah abbas se bole

    mere bhai na ghusse mein kahin had se guzar jaana

    kaha ahl-e-haram ne roke yun akbar ke lashe par

    jawan hone ka shayad tum ne rakkha nam mar jaana

    baqa mein tha fana ka martaba hasil shahidon ko

    wahan is par amal tha maut se pahle hi mar jaana

    na lete kaam gar sibt-e-nabi sabr-o-tahammul se

    lainon ka nigah-e-KHashm se aasan tha mar jaana

    dikhai jang mein surat udhar ja pahunche wo kausar

    ye asghar hi ki thi raftar idhar aana udhar jaana

    yahan ka zinda rahna maut se bad-tar samajhta hun

    hayat-e-jawidan hai karbala mein ja ke mar jaana

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now