fana ke dasht mein kab ka utar gaya tha main
fanā ke dasht meñ kab kā utar gayā thā maiñ
tumhārā saath na hotā to mar gayā thā maiñ
kisī ke dast-e-hunar ne mujhe sameT liyā
vagarna paat kī sūrat bikhar gayā thā maiñ
vo ḳhush-jamāl chaman se guzar ke aayā to
mahak uThe the gulāb aur nikhar gayā thā maiñ
koī to dasht samundar meñ Dhal gayā āḳhir
kisī ke hijr meñ ro ro ke bhar gayā thā maiñ
fana ke dasht mein kab ka utar gaya tha main
tumhaara sath na hota to mar gaya tha main
kisi ke dast-e-hunar ne mujhe sameT liya
wagarna pat ki surat bikhar gaya tha main
wo KHush-jamal chaman se guzar ke aaya to
mahak uThe the gulab aur nikhar gaya tha main
koi to dasht samundar mein Dhal gaya aaKHir
kisi ke hijr mein ro ro ke bhar gaya tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.