fana nahin hai mohabbat ke rang-o-bu ke liye
fana nahin hai mohabbat ke rang-o-bu ke liye
Chakbast Braj Narayan
MORE BYChakbast Braj Narayan
Interesting Fact
1915
fanā nahīñ hai mohabbat ke rañg-o-bū ke liye
bahār-e-ālam-e-fānī rahe rahe na rahe
junūn-e-hubb-e-vatan kā mazā shabāb meñ hai
lahū meñ phir ye ravānī rahe rahe na rahe
rahegī āb-o-havā meñ ḳhayāl kī bijlī
ye musht-e-ḳhāk hai faanī rahe rahe na rahe
jo dil meñ zaḳhm lage haiñ vo ḳhud pukāreñge
zabāñ kī saif-bayānī rahe rahe na rahe
diloñ meñ aag lage ye vafā kā jauhar hai
ye jam.a ḳharch-e-zabānī rahe rahe na rahe
jo māñgnā hai abhī maañg lo vatan ke liye
ye aarzū kī javānī rahe rahe na rahe
fana nahin hai mohabbat ke rang-o-bu ke liye
bahaar-e-alam-e-fani rahe rahe na rahe
junun-e-hubb-e-watan ka maza shabab mein hai
lahu mein phir ye rawani rahe rahe na rahe
rahegi aab-o-hawa mein KHayal ki bijli
ye musht-e-KHak hai fani rahe rahe na rahe
jo dil mein zaKHm lage hain wo KHud pukarenge
zaban ki saif-bayani rahe rahe na rahe
dilon mein aag lage ye wafa ka jauhar hai
ye jama KHarch-e-zabani rahe rahe na rahe
jo mangna hai abhi mang lo watan ke liye
ye aarzu ki jawani rahe rahe na rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.