fankar hai to hath pe suraj saja ke la
fankār hai to haath pe sūraj sajā ke lā
bujhtā huā diyā na muqābil havā ke lā
dariyā kā intiqām Dubo de na ghar tirā
sāhil se roz roz na kankar uThā ke lā
ab iḳhtitām ko hai saḳhī harf-e-iltimās
kuchh hai to ab vo sāmne dast-e-duā ke lā
paimāñ vafā ke bāñdh magar soch soch kar
is ibtidā meñ yuuñ na suḳhan intihā ke lā
ārā.ish-e-jarāhat-e-yārāñ kī bazm hai
jo zaḳhm dil meñ haiñ sabhī tan par sajā ke lā
thoḌī sī aur mauj meñ aa ai havā-e-gul
thoḌī sī us ke jism kī ḳhushbū churā ke lā
gar sochnā haiñ ahl-e-mashiyyat ke hausle
maidāñ se ghar meñ ek tū mayyat uThā ke lā
'mohsin' ab us kā naam hai sab kī zabān par
kis ne kahā ki us ko ġhazal meñ sajā ke lā
fankar hai to hath pe suraj saja ke la
bujhta hua diya na muqabil hawa ke la
dariya ka intiqam Dubo de na ghar tera
sahil se roz roz na kankar uTha ke la
ab iKHtitam ko hai saKHi harf-e-iltimas
kuchh hai to ab wo samne dast-e-dua ke la
paiman wafa ke bandh magar soch soch kar
is ibtida mein yun na suKHan intiha ke la
aaraish-e-jarahat-e-yaran ki bazm hai
jo zaKHm dil mein hain sabhi tan par saja ke la
thoDi si aur mauj mein aa ai hawa-e-gul
thoDi si us ke jism ki KHushbu chura ke la
gar sochna hain ahl-e-mashiyyat ke hausle
maidan se ghar mein ek tu mayyat uTha ke la
'mohsin' ab us ka nam hai sab ki zaban par
kis ne kaha ki us ko ghazal mein saja ke la
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.