Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fankar KHud na thi mere fan ki sharik thi

Mustafa Zaidi

fankar KHud na thi mere fan ki sharik thi

Mustafa Zaidi

MORE BYMustafa Zaidi

    fankār ḳhud na thī mire fan sharīk thī

    vo ruuh ke safar meñ badan sharīk thī

    utrā thā jis pe bāb-e-hayā varaq varaq

    bistar ke ek ek shikan sharīk thī

    maiñ ek e'tibār se ātish-parast thā

    vo saare zāviyoñ se chaman sharīk thī

    vo nāzish-e-sitāra o tannār-e-māhtāb

    gardish ke vaqt mere gahan sharīk thī

    vo ham-jalīs-e-sāniha-e-rahmat-e-nashāt

    āsā.ish-e-salīb-o-rasan sharīk thī

    nā-qābil-e-bayān añdheroñ ke bāvajūd

    merī duā-e-sub.h vatan sharīk thī

    fankar KHud na thi mere fan ki sharik thi

    wo ruh ke safar mein badan ki sharik thi

    utra tha jis pe bab-e-haya ka waraq waraq

    bistar ke ek ek shikan ki sharik thi

    main ek e'tibar se aatish-parast tha

    wo sare zawiyon se chaman ki sharik thi

    wo nazish-e-sitara o tannar-e-mahtab

    gardish ke waqt mere gahan ki sharik thi

    wo ham-jalis-e-saniha-e-rahmat-e-nashat

    aasaish-e-salib-o-rasan ki sharik thi

    na-qabil-e-bayan andheron ke bawajud

    meri dua-e-subh watan ki sharik thi

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Mustafa Zaidi

    Mustafa Zaidi

    Source :
    • Book : Karwaan-e-Ghazal (Pg. 267)
    • Author : Farooq Argali
    • Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd (2004)
    • Edition : 2004
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now