faqat diwar ka dar ka tahaffuz
faqat dīvār kā dar kā tahaffuz
ho us se kyā mire ghar kā tahaffuz
hamārī zaat hai bār-e-garāñ kab
magar ik mas.ala sar kā tahaffuz
alī kī zaat kā ye falsafa hai
ibādat hai payambar kā tahaffuz
haiñ āñkheñ aa.ina dil kā yaqīnan
huā dūbhar khule ghar kā tahaffuz
ye shān-e-rab nahīñ to aur kyā hai
kareñ kāñTe gul-e-tar kā tahaffuz
difā-e-nafs meñ ye ghūmtā hai
bhañvar se hai samundar kā tahaffuz
havāoñ kī nazar is baat par hai
ki ho kaise bavanDar kā tahaffuz
miyāñ-'hassās' kyuuñ ho zid pe maa.il
koī kartā hai kyā shar kā tahaffuz
faqat diwar ka dar ka tahaffuz
ho us se kya mere ghar ka tahaffuz
hamari zat hai bar-e-garan kab
magar ek masala sar ka tahaffuz
ali ki zat ka ye falsafa hai
ibaadat hai payambar ka tahaffuz
hain aankhen aaina dil ka yaqinan
hua dubhar khule ghar ka tahaffuz
ye shan-e-rab nahin to aur kya hai
karen kanTe gul-e-tar ka tahaffuz
difa-e-nafs mein ye ghumta hai
bhanwar se hai samundar ka tahaffuz
hawaon ki nazar is baat par hai
ki ho kaise bawanDar ka tahaffuz
miyan-'hassas' kyun ho zid pe mail
koi karta hai kya shar ka tahaffuz
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.