faqat is baat pe dil ro gaya hai
faqat is baat pe dil ro gayā hai
jo merā thā nahīñ vo kho gayā hai
huī hairat mujhe is baat kī vo
mirī bāñhoñ meñ kaise so gayā hai
maiñ ab us ko jagā.ūñ bhī to kaise
jo mujh se laḌ-jhagaḌ ke so gayā hai
vo apnī zindagī ke paap saare
samajh ke mujh ko gañgā dho gayā hai
ab is meñ phal lageñge nafratoñ ke
vo mujh meñ biij aisā bo gayā hai
faqat is baat pe dil ro gaya hai
jo mera tha nahin wo kho gaya hai
hui hairat mujhe is baat ki wo
meri banhon mein kaise so gaya hai
main ab us ko jagaun bhi to kaise
jo mujh se laD-jhagaD ke so gaya hai
wo apni zindagi ke pap sare
samajh ke mujh ko ganga dho gaya hai
ab is mein phal lagenge nafraton ke
wo mujh mein bij aisa bo gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.