faqat is ek uljhan mein wo pyasa dur tak aaya
faqat is ek uljhan meñ vo pyāsā duur tak aayā
chamaktī ret pīchhe thī ki dariyā duur tak aayā
mire ḳhāshāk meñ paḌne ko be-kal thā sharar koī
mirā dāman pakaḌne ek sho.ala duur tak aayā
zarā aage gayā to phuul bhī the narm saa.e bhī
nazar to dhuup kā ik zard ḳhitta duur tak aayā
kiyā ġhārat mohabbat kī faqat ek tez bārish ne
utar kar dil se sab rañg-e-tamannā duur tak aayā
ḳhatā kis kī hai tum hī vaqt se bāhar rahe 'shāhīñ'
tumheñ āvāz dene ek lamha duur tak aayā
faqat is ek uljhan mein wo pyasa dur tak aaya
chamakti ret pichhe thi ki dariya dur tak aaya
mere KHashak mein paDne ko be-kal tha sharar koi
mera daman pakaDne ek shoala dur tak aaya
zara aage gaya to phul bhi the narm sae bhi
nazar to dhup ka ek zard KHitta dur tak aaya
kiya ghaarat mohabbat ki faqat ek tez barish ne
utar kar dil se sab rang-e-tamanna dur tak aaya
KHata kis ki hai tum hi waqt se bahar rahe 'shahin'
tumhein aawaz dene ek lamha dur tak aaya
- Book : Ishq e Tamam (Pg. 369)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.