faqat naghmon se taqdir-e-ghulami phir nahin jati

faqat naghmon se taqdir-e-ghulami phir nahin jati
Hosh Nomani Rampuri
MORE BYHosh Nomani Rampuri
faqat naġhmoñ se taqdīr-e-ġhulāmī phir nahīñ jaatī
qalam kī nok se dīvār-e-zindāñ gir nahīñ jaatī
lab-e-dariyā jo baiThe ho to is manzar ko bhī dekho
kināre mauj jo aatī hai vāpas phir nahīñ jaatī
vasīle se sadā-o-sāz ke bā-zauq logoñ meñ
ġhazal jaatī hai lekin shohrat-e-shā'ir nahīñ jaatī
hamāre naujavāñ us vaqt tak ab dam nahīñ leñge
ki ye tahzīb kī dīvār jab tak gir nahīñ jaatī
laboñ par ḳhūb-sūrat sī du'ā.eñ rakh ke jaatī hai
pujāran sirf puujā ke liye mandir nahīñ jaatī
safar meñ 'hosh' himmat ho irādoñ par javānī ho
koī bhī raah ḳhud manzil kī jānib phir nahīñ jaatī
faqat naghmon se taqdir-e-ghulami phir nahin jati
qalam ki nok se diwar-e-zindan gir nahin jati
lab-e-dariya jo baiThe ho to is manzar ko bhi dekho
kinare mauj jo aati hai wapas phir nahin jati
wasile se sada-o-saz ke ba-zauq logon mein
ghazal jati hai lekin shohrat-e-sha'ir nahin jati
hamare naujawan us waqt tak ab dam nahin lenge
ki ye tahzib ki diwar jab tak gir nahin jati
labon par KHub-surat si du'aen rakh ke jati hai
pujaran sirf puja ke liye mandir nahin jati
safar mein 'hosh' himmat ho iradon par jawani ho
koi bhi rah KHud manzil ki jaanib phir nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.