faqat saje hue diwar-o-dar ka kya matlab
faqat saje hue dīvār-o-dar kā kyā matlab
jahāñ sukūn nahīñ aise ghar kā kyā matlab
kisī ke kaam na aa.e to zar kā kyā matlab
na phal na chhāñv hai aise shajar kā kyā matlab
na rāstoñ kā Thikāna na manziloñ kā patā
tire baġhair mire is safar kā kyā matlab
koī hayāt ke ma.anī batā ke samjhā.e
tavīl kyā hai bhalā muḳhtasar kā kyā matlab
faqat saje hue diwar-o-dar ka kya matlab
jahan sukun nahin aise ghar ka kya matlab
kisi ke kaam na aae to zar ka kya matlab
na phal na chhanw hai aise shajar ka kya matlab
na raston ka Thikana na manzilon ka pata
tere baghair mere is safar ka kya matlab
koi hayat ke mani bata ke samjhae
tawil kya hai bhala muKHtasar ka kya matlab
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.