faqat shor-e-dil-e-pur-arzu tha
faqat shor-e-dil-e-pur-ārzū thā
na apne jism meñ ham the na tū thā
har ik ke paañv par jhukte kaTī umr
na samjhe ham ki kis qālib meñ tū thā
jahāñ pahuñche usī kā nuur paayā
jidhar dekhā vahī ḳhurshīd-rū thā
jagah dāman meñ apne kyuuñ na dete
ki tifl-e-ashk apnā hī lahū thā
kahūñ kyā dil kī maiñ nāzuk-mizājī
ḳhudā baḳhshe nihāyat tund-ḳhū thā
maiñ kaifiyyat kahūñ kyā bazm-e-mai kī
ki miinā haath meñ āñkhoñ meñ tū thā
ġhash aayā us ne taulī teġh jab jab
ajab halkā hamārā bhī lahū thā
bahut DhūñDā kahīñ paayā na ham ne
batā de ye ki kis goshe meñ tū thā
bachā qātil kā dāman lillāhil-hamd
bahut khaulā huā apnā lahū thā
udū the sāqiyā sab mai-kade meñ
yahī ik aas thī palle pe tū thā
libās-e-kuhna jab thā apnā sad-chāk
to phir bekār paivand o rafū thā
ġhazab meñ aa ke tujh ko toḌtā shaiḳh
natīja bahas kā kyā ai subū thā
tirī tasvīr the ham bhī kisī vaqt
yahī naqshā hamārā hū-ba-hū thā
nazar meñ hech thā kaunain saaqī
labālab jaam thā ham the subū thā
sazā laġhzish kī paate bazm meñ ham
ḳhudā ko ḳhair karnā thā ki tū thā
ham apne hosh meñ baaqī the har tarah
magar jab tū hamāre rū-ba-rū thā
tujhī se muñh phulā lete ajab kyā
sabā ġhunchoñ kā bhī āḳhir numū thā
chale ham baaġh se ai 'shād' kis vaqt
bahār aane ko thī gul kā numū thā
faqat shor-e-dil-e-pur-arzu tha
na apne jism mein hum the na tu tha
har ek ke panw par jhukte kaTi umr
na samjhe hum ki kis qalib mein tu tha
jahan pahunche usi ka nur paya
jidhar dekha wahi KHurshid-ru tha
jagah daman mein apne kyun na dete
ki tifl-e-ashk apna hi lahu tha
kahun kya dil ki main nazuk-mizaji
KHuda baKHshe nihayat tund-KHu tha
main kaifiyyat kahun kya bazm-e-mai ki
ki mina hath mein aankhon mein tu tha
ghash aaya us ne tauli tegh jab jab
ajab halka hamara bhi lahu tha
bahut DhunDa kahin paya na hum ne
bata de ye ki kis goshe mein tu tha
bacha qatil ka daman lillahil-hamd
bahut khaula hua apna lahu tha
udu the saqiya sab mai-kade mein
yahi ek aas thi palle pe tu tha
libas-e-kuhna jab tha apna sad-chaak
to phir bekar paiwand o rafu tha
ghazab mein aa ke tujh ko toDta shaiKH
natija bahas ka kya ai subu tha
teri taswir the hum bhi kisi waqt
yahi naqsha hamara hu-ba-hu tha
nazar mein hech tha kaunain saqi
labaalab jam tha hum the subu tha
saza laghzish ki pate bazm mein hum
KHuda ko KHair karna tha ki tu tha
hum apne hosh mein baqi the har tarah
magar jab tu hamare ru-ba-ru tha
tujhi se munh phula lete ajab kya
saba ghunchon ka bhi aaKHir numu tha
chale hum bagh se ai 'shad' kis waqt
bahaar aane ko thi gul ka numu tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.