faqat takmil-e-maqsad kar raha hun
faqat takmīl-e-maqsad kar rahā huuñ
maiñ apne aap ko rad kar rahā huuñ
parḳhache kar ke aap apnī anā ke
maiñ ḳhud ko kār-āmad kar rahā huuñ
bhulā kar dard kī gaddī-nashīnī
tire pahlū ko masnad kar rahā huuñ
mirī manshā ko ḳhātir meñ na laao
maiñ kab se to radd-o-kad kar rahā huuñ
tujhe yaksar bhulā Daalā hai ya.anī
tujhe maiñ yaad behad kar rahā huuñ
burā jo kah rahā huuñ ḳhud ko 'rāshid'
maiñ apnī hī ḳhushāmad kar rahā huuñ
faqat takmil-e-maqsad kar raha hun
main apne aap ko rad kar raha hun
parKHache kar ke aap apni ana ke
main KHud ko kar-amad kar raha hun
bhula kar dard ki gaddi-nashini
tere pahlu ko masnad kar raha hun
meri mansha ko KHatir mein na lao
main kab se to radd-o-kad kar raha hun
tujhe yaksar bhula Dala hai yani
tujhe main yaad behad kar raha hun
bura jo kah raha hun KHud ko 'rashid'
main apni hi KHushamad kar raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.