faqat zamin se rishte ko ustuwar kiya
faqat zamīn se rishte ko ustuvār kiyā
phir us ke baad safar sab sitāra-vār kiyā
bas itnī der meñ ādād ho ga.e tabdīl
ki jitnī der meñ ham ne unheñ shumār kiyā
kabhī kabhī lagī aisī zamīn kī hālat
ki jaise us ko zamāne ne sañgsār kiyā
jahān-e-kohna azal se thā yuuñ to gard-ālūd
kuchh ham ne ḳhaak uḌā kar yahāñ ġhubār kiyā
bashar bigāḌegā māhaul vo jo us ke liye
na jaane kitne zamānoñ ne sāzgār kiyā
tamām vahm o gumāñ hai to ham bhī dhoka haiñ
isī ḳhayāl se duniyā ko maiñ ne pyaar kiyā
na saañs le sakā gahrā.iyoñ meñ jab vo 'malāl'
to us ko apne jazīre se ham-kanār kiyā
faqat zamin se rishte ko ustuwar kiya
phir us ke baad safar sab sitara-war kiya
bas itni der mein aadad ho gae tabdil
ki jitni der mein hum ne unhen shumar kiya
kabhi kabhi lagi aisi zamin ki haalat
ki jaise us ko zamane ne sangsar kiya
jahan-e-kohna azal se tha yun to gard-alud
kuchh hum ne KHak uDa kar yahan ghubar kiya
bashar bigaDega mahaul wo jo us ke liye
na jaane kitne zamanon ne sazgar kiya
tamam wahm o guman hai to hum bhi dhoka hain
isi KHayal se duniya ko main ne pyar kiya
na sans le saka gahraiyon mein jab wo 'malal'
to us ko apne jazire se ham-kanar kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.