faqirana hai dil muqim uski rah ka
faqīrāna hai dil muqīm us kī rah kā
ġharaz kyā ki muhtāj ho bādshah kā
ḳhadañg aah kā ai falak be-tarah hai
bharosā tū tāroñ kī mat kar zirah kā
ḳharābāt kī jab se lazzat paḌī hai
chhuTā baiThnā masjid-o-ḳhānqah kā
tavāf-e-haram tujh ko zāhid mubārak
mirā aur terā nahīñ saath rah kā
sanam-ḳhāna jaatā huuñ tū mujh ko nāhaq
na bahkā na bahkā na bahkā na bahkā
tire muñh se kuchh bū jo aatī hai mai kī
dimāġh-e-dil us vaqt jaatā hai mahkā
raqīboñ ke dil chaak misl-e-katāñ hoñ
guzār us taraf ho agar apne rah kā
tirī āshnā.ī meñ kyā ham ne paayā
diyā naqd-e-dil aur apnī girah kā
chamak kar tū ai barq mat maar chashmak
to mastoñ kī ātish ko mat aur dahkā
tabhī lutf hai sāqiyā mai-kashī kā
ki tū bhī bahak aur mujh ko bhī bahkā
kabhī tujh se 'inshā' ne bosa na māñgā
gunahgār hai vo faqat ik nigah kā
faqirana hai dil muqim us ki rah ka
gharaz kya ki muhtaj ho baadshah ka
KHadang aah ka ai falak be-tarah hai
bharosa tu taron ki mat kar zirah ka
KHarabaat ki jab se lazzat paDi hai
chhuTa baiThna masjid-o-KHanqah ka
tawaf-e-haram tujh ko zahid mubarak
mera aur tera nahin sath rah ka
sanam-KHana jata hun tu mujh ko nahaq
na bahka na bahka na bahka na bahka
tere munh se kuchh bu jo aati hai mai ki
dimagh-e-dil us waqt jata hai mahka
raqibon ke dil chaak misl-e-katan hon
guzar us taraf ho agar apne rah ka
teri aashnai mein kya hum ne paya
diya naqd-e-dil aur apni girah ka
chamak kar tu ai barq mat mar chashmak
to maston ki aatish ko mat aur dahka
tabhi lutf hai saqiya mai-kashi ka
ki tu bhi bahak aur mujh ko bhi bahka
kabhi tujh se 'insha' ne bosa na manga
gunahgar hai wo faqat ek nigah ka
- Kulliyat-e-inshaallah khan insha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.