farar KHud se mujhe dam-ba-dam jahan ki tarah
farār ḳhud se mujhe dam-ba-dam jahāñ kī tarah
muhīt mujh pe mirī zaat āsmāñ kī tarah
nigār-ḳhāna-e-dil meñ hunūt kar le mujhe
ki reg-e-vaqt pe huuñ maiñ tire nishāñ kī tarah
maiñ apne ḳhol meñ mahbūs misl-e-kirm-o-harīr
maiñ apnī qabr banātā rahā makāñ kī tarah
na tum se dard kā shikva na tum se shukr-e-karam
ki ḳhair-o-shar se ho tum māvarā zamāñ kī tarah
qadam qadam vo mire saath aur maiñ tanhā
mile haiñ dost mire mujh se āsmāñ kī tarah
agar gila hai to hai ḳhud se bevafā.ī kā
ki lahza lahza digar-gūñ huuñ maiñ jahāñ kī tarah
mire zamīr meñ āsūda vaqt ke tūfāñ
vasī.a zarf mirā bahr-e-be-karāñ kī tarah
farar KHud se mujhe dam-ba-dam jahan ki tarah
muhit mujh pe meri zat aasman ki tarah
nigar-KHana-e-dil mein hunut kar le mujhe
ki reg-e-waqt pe hun main tere nishan ki tarah
main apne KHol mein mahbus misl-e-kirm-o-harir
main apni qabr banata raha makan ki tarah
na tum se dard ka shikwa na tum se shukr-e-karam
ki KHair-o-shar se ho tum mawara zaman ki tarah
qadam qadam wo mere sath aur main tanha
mile hain dost mere mujh se aasman ki tarah
agar gila hai to hai KHud se bewafai ka
ki lahza lahza digar-gun hun main jahan ki tarah
mere zamir mein aasuda waqt ke tufan
wasia zarf mera bahr-e-be-karan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.