faraaz-e-ishq teri intiha nahin hue hum
farāz-e-ishq terī intihā nahīñ hue ham
kisī pe qarz the lekin adā nahīñ hue ham
terī galī ke sivā aur kyā Thikānā hai
yahīñ mileñge agar lāpata nahīñ ham
tumhāre ba.ad baḌā farq aa gayā ham meñ
tumhāre ba.ad kisī par ḳhafā nahīñ hue ham
ta.alluqāt meñ sharteñ kabhī nahīñ rakkhīñ
kabhī kisī ke liye mas.ala nahīñ hue ham
abhī hamārī mohabbat nahīñ khulī tum par
abhī tumhāre maraz kī davā nahīñ hue ham
faraaz-e-ishq teri intiha nahin hue hum
kisi pe qarz the lekin ada nahin hue hum
teri gali ke siwa aur kya Thikana hai
yahin milenge agar lapata nahin hum
tumhaare baad baDa farq aa gaya hum mein
tumhaare baad kisi par KHafa nahin hue hum
talluqat mein sharten kabhi nahin rakkhin
kabhi kisi ke liye masala nahin hue hum
abhi hamari mohabbat nahin khuli tum par
abhi tumhaare maraz ki dawa nahin hue hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.