Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab wo galiyan wo makan yaad nahin

Ahmad Mushtaq

ab wo galiyan wo makan yaad nahin

Ahmad Mushtaq

MORE BYAhmad Mushtaq

    ab vo galiyāñ vo makāñ yaad nahīñ

    kaun rahtā thā kahāñ yaad nahīñ

    jalva-e-husn-e-azal the vo dayār

    jin ke ab nām-o-nishāñ yaad nahīñ

    koī ujlā bhalā ghar thā

    kis ko dekhā thā vahāñ yaad nahīñ

    yaad hai zīna-e-pechāñ us

    dar-o-dīvār-e-makāñ yaad nahīñ

    yaad hai zamzama-e-sāz-e-bahār

    shor-e-āvāz-e-ḳhizāñ yaad nahīñ

    ab wo galiyan wo makan yaad nahin

    kaun rahta tha kahan yaad nahin

    jalwa-e-husn-e-azal the wo dayar

    jin ke ab nam-o-nishan yaad nahin

    koi ujla sa bhala sa ghar tha

    kis ko dekha tha wahan yaad nahin

    yaad hai zina-e-pechan us ka

    dar-o-diwar-e-makan yaad nahin

    yaad hai zamzama-e-saz-e-bahaar

    shor-e-awaz-e-KHizan yaad nahin

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    ab wo galiyan wo makan yaad nahin Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now