fareb-e-yar ne chaunka diya tha
fareb-e-yār ne chauñkā diyā thā
hameñ to pyaar ne chauñkā diyā thā
hazāroñ saal thī us kī riyāzat
bas ik inkār ne chauñkā diyā thā
fasīleñ ban ga.ī thiiñ chaar jānib
ajab asrār ne chauñkā diyā thā
mohabbat kī hameñ fursat nahīñ thī
jamāl-e-yār ne chauñkā diyā thā
ham apne-āp meñ gum jā rahe the
kisī guftār ne chauñkā diyā thā
jo ik aañsū bahā thā vaqt-e-ruḳhsat
usī iz.hār ne chauñkā diyā thā
bichhaḌte vaqt us ne jo kahā thā
usī iqrār ne chauñkā diyā thā
vo dast-e-ġhaib ban kar aa ga.e the
hameñ aġhyār ne chauñkā diyā thā
fareb-e-yar ne chaunka diya tha
hamein to pyar ne chaunka diya tha
hazaron sal thi us ki riyazat
bas ek inkar ne chaunka diya tha
fasilen ban gai thin chaar jaanib
ajab asrar ne chaunka diya tha
mohabbat ki hamein fursat nahin thi
jamal-e-yar ne chaunka diya tha
hum apne-ap mein gum ja rahe the
kisi guftar ne chaunka diya tha
jo ek aansu baha tha waqt-e-ruKHsat
usi izhaar ne chaunka diya tha
bichhaDte waqt us ne jo kaha tha
usi iqrar ne chaunka diya tha
wo dast-e-ghaib ban kar aa gae the
hamein aghyar ne chaunka diya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.