fareb-e-zat ke dilkash buton ko kis ne yun toDa
fareb-e-zāt ke dilkash butoñ ko kis ne yuuñ toḌā
hamīñ the jis ne hastī ke haqā.eq se na muñh moḌā
dar-e-hasrat ye kyā taktā hai ai dil nau-ba-nau jalve
kisī kī sarfarāzī dekh kar kariye na dil thoḌā
ye ġham kyā kam hai ai hamdam ki bastī ke ġhazāloñ ko
abhī dasht-e-taġhāful kī tamannā ne nahīñ chhoḌā
na.ī dīvār uThā kar ham ye samjhe dil badal Daale
magar buniyād ke patthar ne vo rishta nahīñ toḌā
muqaddar se shikāyat kab talak kariye 'anīs' āḳhir
tumheñ pās-e-takalluf ne kisī qābil nahīñ chhoḌā
fareb-e-zat ke dilkash buton ko kis ne yun toDa
hamin the jis ne hasti ke haqaeq se na munh moDa
dar-e-hasrat ye kya takta hai ai dil nau-ba-nau jalwe
kisi ki sarfaraazi dekh kar kariye na dil thoDa
ye gham kya kam hai ai hamdam ki basti ke ghazalon ko
abhi dasht-e-taghaful ki tamanna ne nahin chhoDa
nai diwar uTha kar hum ye samjhe dil badal Dale
magar buniyaad ke patthar ne wo rishta nahin toDa
muqaddar se shikayat kab talak kariye 'anis' aaKHir
tumhein pas-e-takalluf ne kisi qabil nahin chhoDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.