fareb-KHurda-e-paiman-e-yar hona tha
fareb-KHurda-e-paiman-e-yar hona tha
Abdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
MORE BYAbdur Rasheed Khan Kaifi Mahkari
fareb-ḳhurda-e-paimān-e-yār honā thā
rahīn-e-kashmakash-e-intizār honā thā
likhīñ azal se thiiñ mahrūmiyāñ muqaddar meñ
nishāna-e-sitam-e-rozgār honā thā
taġhāful aap kā sheva sahī magar kuchh to
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-ummīd-vār honā thā
ġhazab huā ki sahar se hī pahle dil Duubā
abhī kuchh aur shab-e-intizār honā thā
fareb-KHurda-e-paiman-e-yar hona tha
rahin-e-kashmakash-e-intizar hona tha
likhin azal se thin mahrumiyan muqaddar mein
nishana-e-sitam-e-rozgar hona tha
taghaful aap ka shewa sahi magar kuchh to
KHayal-e-KHatir-e-ummid-war hona tha
ghazab hua ki sahar se hi pahle dil Duba
abhi kuchh aur shab-e-intizar hona tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.