har gali kuche mein rone ki sada meri hai
har galī kūche meñ rone kī sadā merī hai
shahr meñ jo bhī huā hai vo ḳhatā merī hai
ye jo hai ḳhaak kā ik Dher badan hai merā
vo jo uḌtī huī phirtī hai qabā merī hai
vo jo ik shor sā barpā hai amal hai merā
ye jo tanhā.ī barastī hai sazā merī hai
maiñ na chāhūñ to na khil paa.e kahīñ ek bhī phuul
baaġh terā hai magar bād-e-sabā merī hai
ek TuuTī huī kashtī sā banā baiThā huuñ
na ye miTTī na ye paanī na havā merī hai
har gali kuche mein rone ki sada meri hai
shahr mein jo bhi hua hai wo KHata meri hai
ye jo hai KHak ka ek Dher badan hai mera
wo jo uDti hui phirti hai qaba meri hai
wo jo ek shor sa barpa hai amal hai mera
ye jo tanhai barasti hai saza meri hai
main na chahun to na khil pae kahin ek bhi phul
bagh tera hai magar baad-e-saba meri hai
ek TuTi hui kashti sa bana baiTha hun
na ye miTTi na ye pani na hawa meri hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.