Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

fariza hai so hum nibhaya karenge

Navin Joshi

fariza hai so hum nibhaya karenge

Navin Joshi

MORE BYNavin Joshi

    farīza hai so ham nibhāyā kareñge

    charāġhoñ ko majlis meñ laayā kareñge

    añdheroñ ujāloñ hai ye laḌā.ī

    bujhāoge tum ham jalāyā kareñge

    chhupāoge chehra kahāñ tak tum apnā

    ham ik aa.ina ban ke aayā kareñge

    sabhī dar agar band karke bhī baiTho

    ayaañ ho ke phir bhī dikhāyā kareñge

    kabhī ghar hameñ bhī bulā kar to dekho

    tumheñ ham tumhīñ se milāyā kareñge

    adū hai tumhārā tumhāre andar

    ḳhudī se tumheñ ham bachāyā kareñge

    anā agar bojh kam kar sako to

    ye va.ada hai sar pe biThāyā kareñge

    'navā' jānte haiñ ki kyā hai sadāqat

    jahāñ par dikhī sar jhukāyā kareñge

    fariza hai so hum nibhaya karenge

    charaghon ko majlis mein laya karenge

    andheron ujalon ki hai ye laDai

    bujhaoge tum hum jalaya karenge

    chhupaoge chehra kahan tak tum apna

    hum ek aaina ban ke aaya karenge

    sabhi dar agar band karke bhi baiTho

    ayan ho ke phir bhi dikhaya karenge

    kabhi ghar hamein bhi bula kar to dekho

    tumhein hum tumhin se milaya karenge

    adu hai tumhaara tumhaare hi andar

    KHudi se tumhein hum bachaya karenge

    ana ka agar bojh kam kar sako to

    ye wada hai sar pe biThaya karenge

    'nawa' jaante hain ki kya hai sadaqat

    jahan par dikhi sar jhukaya karenge

    Source :
    • Book : Word File Mail By Salim Saleem
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Join us for Rekhta Gujarati Utsav | 19th Jan 2025 | Bhavnagar

    Register for free
    Speak Now